|
| Author |
Message |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Mon Oct 24, 2005 5:28 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Wah wah bohat zabardast ..
Hum ne kisi ki yaad main rona hi chor diya Apni Zindagi ko talaash karna hi chor diya
Sab beeti hui baatein bhula di hum ne Ab Dil main maazi basana chor diya
keep it Up Thx for Sharing!!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Mon Oct 24, 2005 9:34 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Dhund chaye hoi hai jheeloon par urr rahay hain parinday teeloon par sab ka rukh hai nashaimanoon ke taraf basityoon ke taraf, banoon kee taraf
apnay gul'loon ko lay kar charwahay sarhadi bastiyoon mein jaa pohanchay dil e nakaam ! mein kahaan jaoon ? ajnabi shaam ! mein kahaan jaoon ?
JOHN AILIYA
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
tera_dil_ki_jan
|
Post subject: h Posted: Tue Oct 25, 2005 1:48 am |
Joined: Tue Oct 11, 2005 3:43 am Posts: 78 Location: islamabad
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Tue Oct 25, 2005 1:59 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Wah wah kia baat hay ..
Zameen ka dard ab barhnay laga hay.... ajab sa shor kaanon main meray hay... kay rishta saans ka.... is jism-o-jaan say.... hay shayad tootnay sa ab laga hay.... na jaanay bay-kali kyun char soo hay.... lahoo ka rang hay?...ya yeh shafaq hay? kay jis main aasmaan rangnay laga hay...!!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Tue Oct 25, 2005 2:55 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Din saleeqey sey uga, raat thikaney sey rahi dosti apni bhi kuch roz zamaney sey rahi
chand lamhoo.n ko hi banti hain musav'vir aankhain zindagi roz tu tasweer bananey sey rahi
is undherey main tu thokar hi ujala dey gi raat jangal main koi shamma jalaney sey rahi
fasla chaand bana deta hay har pather ko door ki roshni nazdeek tu aaney sey rahi
sheh'r main sab ko kaha.n milti hay roney ki fursat apni izzat bhi yahan hansney hansaney sey rahi ~!!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
tera_dil_ki_jan
|
Post subject: hi Posted: Tue Oct 25, 2005 3:37 pm |
Joined: Tue Oct 11, 2005 3:43 am Posts: 78 Location: islamabad
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Thu Oct 27, 2005 5:07 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Thx Zain  !!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
tera_dil_ki_jan
|
Post subject: Posted: Thu Oct 27, 2005 5:56 pm |
Joined: Tue Oct 11, 2005 3:43 am Posts: 78 Location: islamabad
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Sun Oct 30, 2005 3:27 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Thank U sooo much Affan & Aabroo pasandeedgi ka shukria  !!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
kasak
|
Post subject: Posted: Mon Oct 31, 2005 7:11 am |
| Most Active Member |
 |
Joined: Thu Jul 28, 2005 11:08 am Posts: 2179 Location: Pakistan
|
GUL-E-LALA wrote: Din saleeqey sey uga, raat thikaney sey rahi dosti apni bhi kuch roz zamaney sey rahi
chand lamhoo.n ko hi banti hain musav'vir aankhain zindagi roz tu tasweer bananey sey rahi
is undherey main tu thokar hi ujala dey gi raat jangal main koi shamma jalaney sey rahi
fasla chaand bana deta hay har pather ko door ki roshni nazdeek tu aaney sey rahi
sheh'r main sab ko kaha.n milti hay roney ki fursat apni izzat bhi yahan hansney hansaney sey rahi ~!!
WAH Gul-e-Lala ji..bohat zbardast specialy dis verse Fasla chaand bna deta hai her pather ko...
_________________
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Mon Oct 31, 2005 7:48 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Thank U sooo much Sitwat  !!
woh koi aur na tha chand Khushk patte the shajar se Toot ke jo fasl-e-gul pe roye the
abhi abhi tumhein socha to kuch na yaad aaya abhi abhi to hum ek-doosare se bichre the
tumhare baad chaman par jab ik nazar Dali kali kali mein Khizan ke chiraagh jalte the
tamaam umer wafa ke gunaah_gaar rahe ye aur baat ki hum adami to achay the
shab-e-Khamosh ko tanhai ne zabaan de di paharh goojte the dasht san_sanaate the
wo ek baar mare jin ko tha hayaat se pyar jo zindagi se gurezan the roz marte the
naye Khayal ab ate hain Dhal ke zahan mein hamare dil mein kabhi khet lah_lahaate the
ye irtiqa ka chalan hai kai har zamaane mein puraane log naye aadami se Darte the
'Nadeem' jo bhi mulaqaat thi adhoori thi ki ek chehre ke peechhe hazar chehare the
Last edited by GUL-E-LALA on Tue Nov 01, 2005 1:17 am, edited 1 time in total.
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Wed Nov 02, 2005 9:42 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Am not Fat jazi  :P Thank U soo much Aabroo & Jaz for ur Appreciation....
Uss Zakhm-e-Jaa'n ke Naam , jo ab tak nahi Bhara Uss Zinda Dil ke Naam , Jo Ab Tak Nahi Mara Uss Zindegi ke Naam , Guzaara Nahi Jisey Uss Qarz-e-Fun ke Naam , Utaara Nahi Jisey Ahl-e-Nazar ke Naam , jo Johar Shanaas hain Ahl-e-Wafa ke Naam , Jo Fun ki Asaan Hain Unn Dostoo'n ke Naam , Jo Gosha Nasheen Hain Unn Be-Hissoo'n ke Naam , Jo Baar-e-Zameen Hain Unn Bediloo'n ke Naam , Jo Har Dam Malool Hain Unn Bebasoo'n ke Naam , Jo Gamloo'n ke Phool Hain Unn Ahl-e-Dil ka Naam Jo Raahoo'n ki Dhool Hain Unn Hosloo'n ke Naam , Jinhein Dukh Qabool Hain Uss Shola-Rukh ke Naam ke Roshan hai Jis Se Raat Hai Zofishaa'n Andherey mein Har Nuqta-e-Kitaab Aur Husn-e-Baa-Kamaal ki Raanaa'yioo'n ke Naam ! Aur Apney Zehn-o-Qal'b ki Tanhaaiyoo'n ki Naam !
Aitbaar Saajid
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Fri Nov 04, 2005 3:49 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Aabroo wrote: GUL-E-LALA wrote: Am not Fat jazi  :P Thank U soo much Aabroo & Jaz for ur Appreciation.... [ I think he meant FATIMA :lol: :D ya tumharay naam ko short kar diya hai jazi ne..likhnay mein shayad time lagta hai aur aaj kal jazi ke pass time nahi hai 
Hahaha yaa i know dat & U r rightoo waqai kaafi busy.com hain Jazi :P
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
scorpian
|
Post subject: zaberdast Posted: Fri Nov 04, 2005 7:03 pm |
Joined: Wed Nov 02, 2005 7:02 pm Posts: 239 Location: pak
|
|
yaar Gul apki collection aik dum A1 hai such maza aa gya perh k..........
waise myra naam Sumyra hai aur myre frndz mujhe Sam kehty hai......app bhi keh sakti ho KIUNK MAINNE APKO DOST MAAN LIA HAI BAGIR PUCHY HI..... :D
*DERD GER ADMI HOTA*
DERD GER ADMI HOTA
TO GIRYBA'N SE PAKERTY
AUR KEHTY...........
ISS TERHA SE REHTY HAI
BECHAIN DILO'N K UNDER
ISS TERHA SE KERTY HAI BEMARO SE
DIL MAIN REHNA HAI
TO KUCH THEEK SE REHNA SEEKHO
HUM TUMHEIN SEHTY HAIN
KUCH TUM BHI TO SEHNA SEEKHO
IK ZARA KHUSHI AA JYE.........*TO JUL JATY HO*
ALLAH HAFIZ.......SAM
_________________ TYRE BINAa JO UMER BEeTAI BEET GYIE
AB ISS UMER KA BAQI HISA TYRE NAAM
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Re: zaberdast Posted: Fri Nov 04, 2005 8:19 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
scorpian wrote: yaar Gul apki collection aik dum A1 hai such maza aa gya perh k.......... waise myra naam Sumyra hai aur myre frndz mujhe Sam kehty hai......app bhi keh sakti ho KIUNK MAINNE APKO DOST MAAN LIA HAI BAGIR PUCHY HI..... :D
Thank U soo much SAM  or poochney ki zaroorat hee nahin hay coz jo is Forum ka dost woh hamara bhi dost :wink: or doosrey yeh k bohat bohat pyaari nazm post ki aap nay really Dard gar aadmi hota ...kia baat hay keep sharing ...khush rahiyey  !!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
Ejaz
|
Post subject: Posted: Sat Nov 05, 2005 1:03 pm |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Wed Jul 20, 2005 3:17 am Posts: 4108
|
Aabroo wrote: GUL-E-LALA wrote: Am not Fat jazi  :P Thank U soo much Aabroo & Jaz for ur Appreciation.... [ I think he meant FATIMA :lol: :D ya tumharay naam ko short kar diya hai jazi ne..likhnay mein shayad time lagta hai aur aaj kal jazi ke pass time nahi hai 
aap nay bilkul sahi samjha jiss tarah fatima kay paas Jazi ka I likhnay kay liay time nahey hota aur sirf Jaz likhti hain issi tarah meray paas bhe Fatima ka ima likhnay ka time nahey hota mein bhe FAT he likha keroon ga wesay bhee acha nick hay wesay aap ko passand na ho yeah aur baat hay
_________________
|
|
|
|
 |
|
Ejaz
|
Post subject: Posted: Sat Nov 05, 2005 1:05 pm |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Wed Jul 20, 2005 3:17 am Posts: 4108
|
GUL-E-LALA wrote: Aabroo wrote: GUL-E-LALA wrote: Am not Fat jazi  :P Thank U soo much Aabroo & Jaz for ur Appreciation.... [ I think he meant FATIMA :lol: :D ya tumharay naam ko short kar diya hai jazi ne..likhnay mein shayad time lagta hai aur aaj kal jazi ke pass time nahi hai  Hahaha yaa i know dat & U r rightoo waqai kaafi busy.com hain Jazi :P
meri masroofiat nay urwaya mery fun ka mazzaq
logun ke chand postun nay un kay aaieb chuppa rakhay hain 
_________________
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Sun Nov 06, 2005 2:21 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Ejaz wrote: GUL-E-LALA wrote: Aabroo wrote: GUL-E-LALA wrote: Am not Fat jazi  :P Thank U soo much Aabroo & Jaz for ur Appreciation.... [ I think he meant FATIMA :lol: :D ya tumharay naam ko short kar diya hai jazi ne..likhnay mein shayad time lagta hai aur aaj kal jazi ke pass time nahi hai  Hahaha yaa i know dat & U r rightoo waqai kaafi busy.com hain Jazi :P meri masroofiat nay urwaya mery fun ka mazzaq logun ke chand postun nay un kay aaieb chuppa rakhay hain 
Wah wah wah kiaa baat hay kia kehnay :P Asal main baat pasand naa pasand ki nahin hai janab baat hay Naam ki itna pyaara naam hay yeh FATIMA hamara ho k kisi ka bhi ho lakin phir poora laina chahiyey naa  but Jazi ko jaz kardenay say koi farq nahin parta but farq parta hay EJAZ ko jazi kardenay main :D
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Mon Nov 07, 2005 4:44 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Shab utarti hai to yaadien bhi utar aati hain jiss tarah chiryan kahien door se ghar aati hain din guzarta hai to ho jatey hien lab khushk mere shaam dhalti hai to aankhien meri bhar aati hain khawahien nezey liye khawab kay darvazoon sey mere seeney kay bayabanmein dar aati hain tu nahi hai to tere barey mein sochien meri rotey rotey hoye basti se guzar aati hain roz le jati hien ek khawab ki havaien aur phir aik hi shaks ki dehleez pe dhar aati hain~!!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Mon Nov 07, 2005 5:17 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Bilaakhir yeh haseen manzar mita dena hee parta hay kisi k sar say shaaney say hata dena hee parta hay
kisi dair aashna ko jhootey sachey kuch hawaloun say taarruf k liyey sab say mila dena hee parta hay
jo sansoun main mehaktey hain jo aankhoun main damaktey hain achanak aik din unko bhula dena hee parta hay
diyey jo hum jalaatey hain nihayat shauq say hur shab unhain khud apni phoonkoun say bujha dena hee parta hay
koi jub poochta hay hum say kaisa haal hay sajid humain mohtaat ho kar muskura dena hee parta hay
chamak uthtey hain Sajid jub sitaarey us ki palkoun par usey dil say laga kar hausla dena hee parta hay~!!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Tue Nov 08, 2005 7:50 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
ZARB UL MASL ASHAAR
Aa andaleeb mil k karain aah-o-zaariyaan tu hayey gul pukaar main chillaon hayey dil~!!
Baghbaan nay aag di jub aashiyaaney ko meray jin pay takkiya tha wohi pat'tey hawa denay lagey!! (Saqib lakhnavi)
woh baat saarey fasaney main jis ka zikr naa tha woh baat unko bohat naagawaar guzri hay!! (Faiz)
sun to sahi jahan main hay tera fasana kia kehti hay tujhko khalk-e-Khuda ghaibaana kia!! (Haider Ali aatish)
ab udaas phirtey ho sardioun ki shaamoun main is tarah to hota hay is tarah k kamoun main!!(Shoaib bin aziz)
hum talib-e-shuhahrat humain nang say kia kaam badnaam agar hongain to kia naam naa hoga? (sheefta)
muddayi laakh bura chahey to kia hota hay wohi hota hay jo manzoor-e-Khuda hota hay(irshad lakhnavi)
dil k phapoley jul uthey seenay k daag say is ghar ko aag lag gayi ghar k charaagh say!!
khard ka naam junoun parh gaya , junon ka khard jo chahey aap ka husn-e-karishma saaz karey
phool to do din bahar-e-jaan fiza dikhla gayey hasrat un ghunchoun pay hay jo bin khiley murjha gayey(Zauq)
bohat dil khush hua Hali say mil kar abhi kuch log baqi hain jahan main(Haali)
bohat shaur suntey thay pehloo main dil ka jo cheera to aik qatra khoon ka naa nikla!! (aatish)
yad-e-maazi azaab hay YaRab cheen lay mujh say hafza mera!! (akhtar ansari)
itni naa barha paki-e-damaan ki hiqayat daman ko zara daikh zara band-e-qaba daikh!!sheefta
Qais jungle main akaila hay mujhey jaaney do khoob guzrey gi jo mil bethay gain deewaaney do!!
layey us but ko iltija kar k kufr toota khuda khuda kar !!
uljhey hain paoon yaar k zulf-e-daraz main lo aap apney daam main sayyad aagaya (Momin)
main akela hee chala tha janib-e-manzil magar log saath aatey gayey kaarwaan banta gaya!!
ki meray qatl k baad us nay jafa say tauba hayey us zood pashemaan ka pashemaan hona!! (mirza ghalib)
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Tue Nov 08, 2005 7:57 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Ejaz wrote: nice selcetion Gul kafi achi poems hain share kernay ka shukriya!!!
Thank U soo much Jazi aap ko pasand aayeen bohat hay 
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Tue Nov 08, 2005 8:51 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
ZARB UL MASL ASHAAR (II)
Raah pay unko laga layey to hain baatoun main or khul jayain gain do chaar mulaqaatoun main!! (Daag dehalvi)
Zameen-e-chaman gul khilaati hay kia kia badalta hay rung aasmaan kaisey kaisey !!(Aatish)
Zamana barey shauq say sun raha tha hum hee so gayey daastaan kehtay kehtay~!! (Saqib lakhnavi)
Fard qayam rabt-e-millat say hay tanha kuch nahin Mauj hay darya main or bairoon-e-darya kuch nahin~!! (Iqbal)
Khanjar chaley kisi pay taraptey hain hum Ameer saarey jahan ka dard hamarey jigar main hay~!! (Ameer minai)
Raqeebobn ne rapat likhwayi hai ja ja ke thane men ki Akbar naam leta hai kuda ka is zamane men. (Akbar Ilahabadee)
Daure hayat ayega qatil qaza ke baad hai ibtida humaree tiree intaha ke baad (Maulana Muhammad Ali Jauhar)
Uthae kuch waraq lale ne kuch nargis ne kuch gul ne chaman men har taraf bikhri hui hai dastan meri . (Iqbal)
Na samjhoge to mit jaoge ai hindostan walo tumharee dastan tak na hogi dastanon men (Iqbal)
Tareekh ki nazron ne wo daur bhi dekha hai lamhon ne khta ki thi sadiyon ne saza payi
Badal kar faqeeron ka hum bhes Ghalib Tamasha-e-ajlekaram dekhte hain. (Ghalib)
Zulf latka ke wo jab janibe bazar chala har taraf shor utha maar chala maar chala (Mir)
Girte hain shahsawar hi maidane jang men wo tifl kiya girenge jo ghutnon ke bal chalen
Na tu zameen ke liye hai na asman ke liye Jahan hai tere liye tu nahin jahan ke liye (iqbal)
Ham ko mita sake ye zamane men dum nahin hum se zamana khud hai zamane se hum nahin
Ye bazme mai hai yan kotah daston ko hai mahroomi Jo badh kar khud uthale jaam bas meena usee ka hai
Go haath men junbish nahin ankhon men to dam hai Rahne do abhi sagharo meena mire aage (Ghalib)
Ye qadam Qadam Balayen Ye sawad-e-koo-e-janann Wo yahin se laut jayen jinhen zindagii ho pyaree (Aamir Usmani)
Roz Taron ko Numaish men khalal padta hai Chand paagal hai andhere men nikal padta hai~!!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Wed Nov 09, 2005 11:50 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
Aabroo wrote: wah jee wah ...kiya baat hai aap ki :wink: well done Fatima
Thx for ur Appreciation Aabroo 
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Sun Nov 13, 2005 11:43 am |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
*!*KIYOON*!*
Har moaj k daman main beydaar jo darya hay ik rait k zarrey main aabaad jo sehra hay kia us ki wazahat hay! kia us ka taqaza hay jo saamney aata hay manzar hay k parda hay
Bey ant sawaloun ki zanjeer hay yeh dunya us aks k sayoun ki tasweer hay yeh dunya jis aks k jalwey ko hur aankh tarasti hay hay ik ghata aisi, khulti na barasti hay!
kiyoon rung nahin ruktey, kiyoon baat nahin chalti kiyoon chaand nahin bujhta kiyoon raat nahin jalti mausam ki sada sun kar kiyoon shaakh larazti hay kiyoon udaas kaf-e-gul par pal bhar ko teharti hay kiyoon khuwaab bhataktey hain kiyoon aas bikharti hay is aik tasalsul say kiyoon waqt nahin thakta Bus aik tahayyur main kiyoon umar guzarti hay ??
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Thu Nov 17, 2005 3:43 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Iss dil ne Terey Baad Mohabbat bhi nahi ki Hadd yeh ke Dharakney ki Jisaarat bhi nahi ki Tabeer ka Aizaaz Hua hai Ussey Hasil Jis ne Merey Khaaboo'b mein Shiraakat bhi nahi ki Ulfat to Bari Baat hai Ham se to Sar-e-Shehar Logoo'n ne Kabhi Dhang se Nafrat bhi Nahi ki Aadaab-e-Safar Ab Wo Sikhaatey Hain Jinhoo'n ne Do Chaar Qadam Tay Yeh Musaafat bhi nahi ki Kya Apni Safaayi mein Bayaan dete ke Ham ne Na Karda Gunaahi ki Wazaahat Bhi Nahi Ki Khaamosh Tamashaayi ki Maanind Sar-e-Bazm So Zakham Sahey Dil pe , Shikaayet bhi Nahi ki Iss Ghar ke Sabhi Log Mujhey Chorney Aaye Dehleez talak Uss ne Yeh Zehmat bhi Nahi ki Uss ne bhi Ghulaamoo'n ki Safoo'n mein Hamein Rakha Iss Dil pe Kabhi Jis ne Hakoomat bhi Nahi Ki !!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
GUL-E-LALA
|
Post subject: Posted: Thu Nov 17, 2005 9:21 pm |
| Super Member |
 |
Joined: Tue Apr 12, 2005 2:56 pm Posts: 1808 Location: Karachi (PAKISTAN)
|
|
Na main dil ki baat bata saka Na main pass os ko bula saka Wo hansi hansi main chal diye K main haath tak na hila saka Mujay keya howa mujay keya habar Mujay kitna gehra khumar tha Main khara tha os key hisaar main Meray ird-gird ghubaar tha Younhee sochta raha dair tak Magar os ko kuch na bata saka Ye bhee theek hai wo chala gaya Mujay band rastay pe choor kar Ye bi theek hai...na wo ayega Kabi buth anna ka tor kar Wo juda be kese howa ke main Koi rasm bhi na nibha saka Na meri dushmani kisi din say ab Hai na dosti kisi raat say Hai bacha hi keya jo wo le gaya Mujay cheen kar meri zaat sey Wo muqaam hi kuch ajeeb tha Ke main khud ko bhi na bacha saka Na main pass os ko bula saka Na main dil ki baat bata saka Wo hansi hansi main chal diye Ke main haath tak na hila saka ~!!
_________________ Khaira na karsaka mujhey jalwa-e-danish farang
Surma Hay Meri Aankh Ka Khaak-e-Madina O Najaf~!!
|
|
|
|
 |
|
kasak
|
Post subject: Posted: Sat Nov 19, 2005 4:44 am |
| Most Active Member |
 |
Joined: Thu Jul 28, 2005 11:08 am Posts: 2179 Location: Pakistan
|
Ejaz wrote: Nice work Gul, Aabroo and sitwat nice poems shared... carry on ur good work @ sitwat ur signatures is also very nice :D
thank you ejaz...
_________________
|
|
|
|
 |
|
nikss
|
Post subject: Posted: Thu Dec 08, 2005 12:15 pm |
|
|
|
Kabhi zakhm jo khaya to teri yaad aai
Koi bhi dard uthaya to teri yaad aai
Jab kisi haseena ney kisi aashiq par
Koi ilzaam lagaya to teri yaad aai
Jab kisi nay bhi naam lay kay mera
Pyaar se paas bulaya to teri yaad aai
Haakim-e-waqt nay jab bhi kisi majnu par
Be panah zulm jo dhaya to teri yaad aai
Kisi ghaneem nay jab bhi kisi be kas par
Be waja tegh uthaya to teri yaad aai
Gul nay khiltey hi apni khushbu se
Jo gulshan ko mehkaya to teri yaad aai
Din to kat hi gaya jhamelon mein, magar
Phela jo shaam ka sea to teri yaad aai
Kia kahoon kal shab barastey badal nay
Jo is dil ko tarpaya to teri yaad aai
Bari narmi se teri yaad kay sab khaaroon nay
Dard ka seena jo sehlaya to teri yaad aai
Khizaan aalood shajar nay hawa kay jhonkay par
Aik patta jo giraya to teri yaad aai
Kay bichar kay mujh se tum bhi pashemaan ho buhat
Tum ney jab mujh ko batlaya to teri yaad aai....
|
|
|
|
|
 |
|
|