*MYSTERIOUS* wrote:
Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi
na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein
namaaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi
kisi tarah to jam-e-bazm maikade walo
nahin jo baadaa-o-sagar to haa-o-hoo hi sahi
gar intezar kathin hai to jab talak aye dil
kisi ke vada-e-farda ki guftagu hi sahi
dayaar-e-gair mein maharam agar nahin koi
to 'Faiz' zikr-e-watan apne ru ba ru hi sahi
Faiz sahab ki lajawaab ghazal pesh ki hai,......
khush rahen...........
haseeb.............