|
| Author |
Message |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:06 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
|
Dear Mods,
With your due permission I wish to start a thread to comemorate the memories of a Great Urdu Poet Mirza M. Rafi Sauda (1713 - 1781).
Sauda was the leading urdu poet of his time. His name Mirza Muhammad Rafi. Sauda was born in A.H. 1125 [1713-14][1]. His accomplishments were a cause of pride to the city of Delhi. His father Mirzā Muḥammad Shafī was from the aristocratic family of Kabul. His ancestors were soldiers by profession. Mirzā Shafī came to India by means of trade. According to some, he got his pen-name 'Sauda' from his father's profession (saudāgar). \"But the truth is that the poets of Asia, in every country, live and breathe through love; and saudā [=madness] and dīvānagī [=madness] are born together with love. Thus madness too is a cause of pride to lovers. So with regard to this he chose 'Saudā' as his pen-name, and thanks to saudāgarī [=merchandising] the verbal device of punning came as a 'special free offer' into his poetry.\"[2] He was raised and educated in Delhi. His house was in the Kabuli Gate area, which was destroyed in the destruction of Delhi in 1857. Sauda originally wrote poetry in perian but on Khan-e-Arzu, his senior and mentor persuasion started writing in urdu. Saudā was first the pupil of Sulaiman Quli Khan 'Vidad',and then of Shah Hatim. Shah Hatim in the introduction to his volume in which gives a list of his pupils, has recorded Sauda's name with great pride and He outlived Sauda. He was not a pupil of Khan-e-Arzu, but benefited from his company. With time he gained fame and recognition, even during his lifetime his ghazals were on the lips of folks of Delhi. He found patronage in the Mughal king of the time, since he was a man of great pride and honor left the royal court forever over an argument with the king over poetry. But he found numerous patrons among nobles of the time. His fame reached Nawab Shuja ud Daula of Awadh and he got invitation to leave Delhi for Lucknow. At the age of 60 or 66 years he left Delhi, and stayed for some time in Farrukhabad, with Navab Bangash. He wrote a number of odes in praise of the Navab. In A.H. 1185 (1771-72]), he arrived in Lucknow in the court of Navab Shuja-ud-Daulah for first and the last meeting with the nawab and never went back till Asif-ud-Daulah became nawab of Lucknow. He was invited once again to the court of Awadh by Asif-ud-Daulah with gifts and honors and he remained associated with the nawab till his death in A.H. 1195 (1780-81), when he was 70 years of age according to hijri calendar. When Shah Hatim heard the news, he wept profusely and said, 'What a pity, my champion of poetry has died'.
_________________
|
|
|
|
 |
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:08 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
aadam kaa jism jab ke anaasar se mil banaa kuchh aag bach rahii thii so aashiq kaa dil banaa
sar_garm-e-naalaa aaj kal mai.n bhii huu.N andliib mat aashiyaa.N chaman me.n mere muttasil banaa
jab teshaa kohakaan ne liyaa haath tab ye ishq bolaa ke apanii chhaatii pe rakhane ko sil banaa
jis tiiragii se roz hai ushaaq kaa siyaah shaayad usii se cheharaa-e-Khubaa.N pe til banaa
lab zindagii me.n kab mile us lab se ai! kalaal saaGar hamaarii Khaak ko mat kar ke gil banaa
apanaa hunar dikhaa de.nge ham tujh ko shiishaagar tuuTaa hua kisii ka agar hamase dil banaa
sun sun ke arz-e-haal meraa yaar ne kahaa "Sauda" na baate.n baiTh ke yaa.N muttasil banaa
_________________
|
|
|
|
 |
|
Miss tip top
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:08 am |
| Baby Addict Member |
 |
Joined: Mon Dec 07, 2009 9:38 am Posts: 8212 Location: sehar-e-dil k darwaze
|
ohhh waooo intersting 
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:10 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
aashiq kii bhii kaTatii hai.n kyaa Khuub tarah raaten do chaar ghaDii ronaa, do chaar ghaDii baaten
merta huN main is dukh se, yaad aatii hain vo baaten kya din vo mubaarak the, kyaa Khuub thii.n vo raate.n
auron se chhuTe dilabar, diladaar hove meraa bar haq hai agar peeron, kuchh tum men karaamaaten
kal laD gain kuuche main aaNkhon se merii aaNkhen kuchh zor hii aapas main do do huin samaghaaten
is ishq ke kuuche main zaahid tu sambhal chalanaa kuchh pesh na jaavaingi yahaaN terii manajaaten
Saudaa ko agar puuchho ahavaal hai ye usakaa do chaar ghaDii ronaa, do chaar ghaDii baate.n
Last edited by Tifl e Maktab on Thu Jan 07, 2010 12:11 pm, edited 1 time in total.
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:11 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
Dil mat Tapak Nazar Say ke Paya Na Jay Ga, Ju’ N Ashak phar Zami’N Say Uthaya Na Jay Ga.
Kaba Agarcha Toota to Kya Jay Ghum Hay Shaikh. Kuch Kaser-e-Dil Nahe’N Ka Banaya NA Jay Ga.
Punhche’ N gay is Chaman May’ N Na Hum Dadad Ko Kabhi. Ju’ N Gull Yah Chaak-e-Jab Silaya Na Jay Ga.
Ammama Ko Utar Kay Padyo Namaz Shaikh, Sajday Say Varna Sar Ko Uthaya Na Jay Ga.
Zalim My’ N Keh Raha Hu’ N Ke Is Khu’ N Say Dar Guzar, Sauda Ka Qatel Hay Yah Chupaya Na Jay Ga.
Last edited by Tifl e Maktab on Fri Jan 08, 2010 12:56 pm, edited 1 time in total.
_________________
|
|
|
|
 |
|
Miss tip top
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:12 am |
| Baby Addict Member |
 |
Joined: Mon Dec 07, 2009 9:38 am Posts: 8212 Location: sehar-e-dil k darwaze
|
wah wah do chaar gha.Dii ronaa, do chaar gha.Dii baate.n kia bat ha sauda g ki welldone tabs 
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:16 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
jab yaar ne uThaa kar zulfo.n ke baal baa.Ndhe tab mai.n ne apane dil me.n laakho.n Khayaal baa.Ndhe
do din me.n ham to riijhe ai vaa_e haal un kaa guzare hai.n jin ke dil ko yaa.N maah-o-saal baa.Ndhe
taar-e-nigaah me.n us ke kyo.n kar phaa.Nse na ye dil aa.Nkho.n me.n jis kii laakho.n vahshii Ghazaal baa.Ndhe
bose kii hai to Khvaahish par kahiye kyo.n ke us se jis se mizaaj-e-lab par haraf-e-savaal baa.Ndhe
maaroge kis ko jii se kis par kamar kasii hai phirate ho kyo.n pyaare talavaar Dhaal baa.Ndhe
do chaar sher aage us ke pa.Dhe to bolaa mazamuu.N ye tuune apane kya hasb-o-haal baa.Ndhe
"Sauda" jo un ne baa.Ndhaa zulfo.n me.n dil sazaa hai shairon me.n us ke tuu ne kyo.n Khad-o-Khaal baa.Ndhe
Last edited by Tifl e Maktab on Thu Jan 07, 2010 12:17 pm, edited 1 time in total.
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:17 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
jo guzarii mujh pe mat us se kaho huaa so huaa balaa, ki shaan-e-muhabbat me.n jo huaa so huaa
mubaadaa ho ko_ii zaalim teraa girebaa.Ngiir mere lahuu ko to daaman se dho huaa so huaa
pahu.Nch chukaa hai sirr-e-zaKhm dil talak yaaro.n ko_ii siyo ko_ii maraham karo huaa so huaa
ye kaun haal hai ahavaal-e-dil pe ai aa.Nkho.n na phuuT phuuT ke itanaa baho huaa so huaa
diyaa use dil-e-ziist ab ye jaan hai "Sauda" phir aage dekhiye jo ho so ho, huaa so huaa
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu Jan 07, 2010 11:48 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
kisii ka dard-e-dil pyaare tumhaara naaz kya samjhe jo guzre said ke dil par use shahbaaz kya samajhe
—Sauda
badla tere sitam ka koii tujhse kya kare apana hii tu farefta howe, kh.uda kare
—Sauda
shama-roo kahna use Sauda hai taareeki-e-aql shama ka aks uske aariz par kalaf hai maah kaa
—Sauda
ishq zarra bhii agar ho to use kam mat jaan hoke shola hii bujhe hai ye sharaar aakh.irkaar
—Sauda
mulaayam ho gayiin birah kii saa'itein karDiyaan pahar kaTne lage unbin jinhon bin kaaTtii gharDiyaan
—Sauda
ye rutbaa jaah-e-duniya ka nahiin kam kisii maalzaadii se ki is par roz-o-shab mein saikarDo charDhte-utarate hain
—Sauda
nai bulbul-e-chaman na gul-e-naudmeeda hoon main mausam-e-bahaar mein shaakh.-e-bareeda hoon
giriyaan na shakl-e-sheesha wa kh.anda na tarz-e-jaam is maikade ke beech abas aafreeda hoon
—Sauda
cheez kya hoon jo karein qatl wo aMkhiyaan mujhko phir gaye dekh ke muMh kh.anzar-e-mizgaan mujhko
—Sauda
gada dast-e-ahl-e-karam dekhte hain ham apna hii dam aur qadam dekhte hain
—Sauda
shaikh. ne us but ko jis kooche mein dekha shaam ko le charag ab DhooMrDhe hai waan ta-sehar islaam ko
—Sauda
tabee'at se faromaya kee sher-e-tar nahiin hota jo aab-e-chaah ka qatra hai wo gauhar nahiin hota
talaash-e-khijr bahr-e-manzil-e-maqsad na kar Sauda koii khudraftagii se raahbar behtar nahiin hota
—Sauda
saawan ke baadalon kii tarah se bhare hu'e ye wo nayan hain jinse ki jangal hare hu'e
—Sauda
_________________
|
|
|
|
 |
|
balvinder
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Sat Jan 09, 2010 8:45 am |
| Baby Addict Member |
 |
Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 9722 Location: indore (india)
|
|
na daanah saath le Sayyaad taiN le daam letaa jaa chaman meN ham_safiiroN ko miraa paiGHaam letaa jaa
agar dil le chalaa jii kii Khalish mat chhoRh siine meN saHar le jaa nahiiN saktaa to us ko shaam letaa jaa
na thii taufiiq agar bose kii to itnaa hii kah dete jo aayaa hai to Khaalii mat phire, dushnaam letaa jaa
agar ai naalah too chaahe ke us ke gosh tak pohNche asar thoRhaa kahiiN se kar ke qarz-o-daam letaa jaa
huaa maiN dil ke le jaane pe raazii terii Khaatir se kahaa kab thaa ke saath us ke miraa aaraam letaa jaa
Khayaal un aNkhRhiyoN kaa chhoRh mat marne ke ba'da az bhii dilaa, aayaa jo too us mai_kade meiN, jaam letaa jaa
jo chaahe, muGh_bache tujh ko aziyyat deN na, ai zaahid galee meiN us kii ab ''Sauda'' kaa aksar naam letaa jaa
_________________ mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke
|
|
|
|
 |
|
balvinder
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Sat Jan 09, 2010 8:49 am |
| Baby Addict Member |
 |
Joined: Sun Jan 29, 2006 2:11 pm Posts: 9722 Location: indore (india)
|
|
maqdoor nahiiN uskii tajallii ke bayaaN ka jooN-shama saraapa ho agar sarf zabaaN ka
parde ko t'ayyun ke dar-e-dil se uThaa de khultaa hai abhii pal meN tilismaat jahaaN ka
Tuk dekh sanam_khaana-e-ishq aan ke ai sheKh jooN-shamm-e-haram raNg jhalaktaa hai butaaN ka
is gulshan-e-hastii meN ajab diid hai lekin jab chashm khule gul kii to mausam ho KhizaaN ka
dikhalaaiye le jaake tujhe misr ke baazaar lekin nahiiN KhwaahaaN ko_ii vaaN jiNs-e-giraaN ka
hastii se adam tak nafas-e-chaNd kii hai raah duniyaa se guzarnaa safar aisaa hai kahaaN ka
''Sauda'' jo kabhii gosh se himmat ke sune too mazmoon yahii hai jaras-e-dil kii fughaaN ka
_________________ mazHab koii lauTa le, aur uskii jagah de-de tahzeeb saleeqe kii, insaan qareene ke
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Fri Feb 05, 2010 6:29 pm |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
|
Bohat khoob balvindar bhai,
umeed hai aap ka sath milta rahay ga.....
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Wed May 12, 2010 4:31 pm |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
kis se bayaN kijiye haal dil e tabah ka samjhay wahi isay jo ho zakhmi te'ri nigah ka
mjhko te'ri talab hai yaar tujhko hai chah ghair ki apni nazr main yaaN nahin tour koi nibah ka
deen o dil qarar o sabr ishq main teray kho chukay jeetay jo abki hum bachay naam na laingay chah ka
zamzama per rkhy hai tu murgh e chaman k gosh e dil nala kabhi suna to kar apnay bhi dad khwah ka
husn te'ry ka aaye sanam hai k dhr pe naqsh aaj teri adaa pe sheefta dil hai gada o shah ka
wasl bhi ho to dil me'ra gham ko na choray hijr k ye to hamesha hai rafeeq wasl hai gah gah ka
Souda suna hai main ne ye us pe howa tu mubtila rashk se jis k chehray k dagh jigr hai maah ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu May 13, 2010 2:48 pm |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
chattna zaroor mukh pe hai zulf e siyah ka roshan baghair shaam na chehrah ho maah ka
jal kar tu aaye pating gira paye shama per hoN dagh e uzr dekh k teray gunah ka
jooN saya is chaman main phira main tamam umr sharminda paa nahin me'ra barg e giyah ka
taraj chashm e tark e butaaN kyuN na ho ye dil gharat karay hai mulk ko firqa sipaah ka
aaye aah e shu'laa baar te'ra kya kahooN asr rutba takhy na koh te'ry aagay kaah ka
hazir hai tery samny Souda kar isko qatl mujrim ye sab tarha se hai per yak nigah ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu May 13, 2010 3:05 pm |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
Hamary Na'laa e soozaaN se hai ye dhang aatish ka k us k zikr main urta hai munh se rang aatish ka
hamari ehtiyat us k tain manzoor hai is tarha mahasir jis tarha rehta ha barood sang aatish ka
mjhe do din falak tain ghar main rakh kr tang aaya hai samndr se na main dekha k ho dil tang aatish ka
mushabeh yaar k tousan se ab kis ko bataoN main tarha bijli ki main dekha nahin sir jang aatish ka
dil e nalaaN majnooN kaisi garmi ho kahaN us main bapa naqah e laila band de go zang aatish ka
firangi koi aab e teaigh k ohday se bar aavaiN agr bandhaiN pahar aa kr wo roz jang aatish ka
wo choob kashti ba-shikasta hoN is behr main jiska dubana aar pani ko jalana nang aatish ka
agr tha dil pe dagh e ishq koh e toor per ja kr kya kyuN dhondnay per Mosa ne aahang aatish ka
smoor o qaqam o sanjaab hai sarma main muna'am ko rakhain hain aasra ghurba e lanj o lang aatish ka
na de dil aatsheeN rukhsar per Souda to ab kyunkar wo sho'laa dekh kar main hogaya chit bang aatish ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
subahh
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu May 13, 2010 6:32 pm |
| Moderator |
 |
 |
Joined: Sat Dec 10, 2005 1:13 am Posts: 17913 Location: London
|
tabs buhat khub thread..sataish o paziraii ke shayan e shaan....yon hi share kerte rahain...ke astazah ka kalam waqai main...fon e sukhan'wari ki miraj hota hae...aur shukria bhi ada kerainge hum..aap ki justajoo o lagan ka urdu adab ki khidmat ke hawalay se khush rahain.. 
_________________
|
|
|
|
 |
|
subahh
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Thu May 13, 2010 6:33 pm |
| Moderator |
 |
 |
Joined: Sat Dec 10, 2005 1:13 am Posts: 17913 Location: London
|
balvinder....buhat aala sharing ...yon hi mutaharik rahain...ess thread main aur mazeed share kerte rahain.. khush rahain.. 
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Sun May 16, 2010 9:12 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
Gila likhoN main agr teri bewafai ka lahu main gharq safeena ho aashnai ka
zubaaN hai shukr main qasir shiksta bali k k jin ne dil se mitaya khalish rehai ka
dimagh jhar gaya aakhir te'ra na aaye namrood chala na paish se kuch bas te'ri khudai ka
me'ry sajood ki dair o haram se guzri qadr rakhoN hoN daway te'ry dar pe jehba sai ka
kabho na pohnch sakay dil se ta zubaaN yak harf agr bayan kron tal'ae ki na rasai ka
dikhaoN ga tujhy zahid us afat e jaaN ko khala dimagh main teray hai parsaai ka
talab na charkh se kar naan e rahat aaye Souda phiray hai aap wo kasaa liye gadai ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Sun May 16, 2010 9:26 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
DarooN hoN beh na jaway shehr bandh kr tar ronay ka nazr ata hai phr aankhoN main kuch asaar ronay ka
jo mazkor us se karta hai koi gham khwar ronay ka to kehta hai k chup reh, hai usse aazaar ronay ka
sabab us chashm e kafir k hai kya her bar ronay ka k bandha sorat e zinaar ussay tar ronay ka
na tha kuch kaam chashm e tar se nahaq mil k khoobaN ne kiya hai shughl taiN paida dil e bekaar ronay ka
jo hain aatish nafas, hai ashk unko mo'ajib e tazeeN galay main pehnoN hoN joN shame her shab tar ronay ka
gahy khoN e jigr gahy ashk, gahy lakht e dil yaroo kiso ne bhi kahin dekha hai ye bastaar ronay ka
karain pak isko kab tak hum k chashm e zakhm sa yaro rakhy hai dhab hamara deeda e khooN bar ronay ka
main apnay haal per hansta hoN warna her ghari zalim mohabat main te're saman hai kya tayyar ronay ka
kabhi main baat bin roye nahin ki usse paraaoN ne na pocha yuN sabab kya hai te're har baar ronay ka
na dhaya konsa ghar sail ne mujh ashk k Souda gawah ab tak tu hai meray dar o diwar ronay ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
Imdad Ali
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Fri Jun 25, 2010 11:47 am |
Joined: Fri Jun 25, 2010 4:08 am Posts: 6
|
|
Gar kijiye insaaf tou ke zor wafa mein,
Khat aate hee sab chal gaye ab aap hain ya main!
Tum jin ki sana karte ho kia baat hai unki,
Laikin tuk edhar daikhyo Ay yaar bhala main.
Yaaro! Na bandhi us se kabhu shakl mulaqaat,
Milne ko tou us shoukh se tarsa hee raha main.
Kaifiyat e chashm uski mujhe yaad hai SauDa,
Saghar ko mere haath se laina k chala main..
|
|
|
|
 |
|
subahh
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Fri Jun 25, 2010 4:20 pm |
| Moderator |
 |
 |
Joined: Sat Dec 10, 2005 1:13 am Posts: 17913 Location: London
|
imdad...buhat aala sharing...keep posting dear.. khush rahain .. 
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Fri Jul 23, 2010 9:23 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
Daman na choo sakay jis shahswar ka pohnchay kab usko hath hamaray ghubar ka
moj e naseem aaj hai aloodah gard se dil khaak ho gaya hai kisi be-qarar ka
khoon e jigr sharaab tr shah ba chashm e tarr saghr me'ra agr wo nahin abr e bhaar ka
chashm e karm se aashiq e vehshi asee ho ulfat hai daam aahoo e dil ky shikar kaa
Souda sharab e ishq na kehty thy hum na pee aakhir maza na paya ab uskay khumaar ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Fri Jul 23, 2010 9:29 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
jb khyal aata hai is dil main te'ry atwar ka sir nazr aata nahin dhaR per mjhy do char ka
dekhta hon yar main jis ghr main tjhko jalwa gr mehr ko waaN hukm hai khar e sir diwar ka
aashiqooN ko sheikh deen o kufr se kya kaam hai dil nahin wabasta apnay subh o zeenaar ka
tuk dikha day apni saqi chashm e goon tu ussay muhtasib hojaye bandah e khana e khumaar ka
ba-sikka pochoN hoN main apni chashm e khoon alood ko jama ka her aik takhta sair hai gulzaar ka
aa khuda k wasty is bankpan se dar guzr kal main Souda yuN kaha damaan e gehgr yaar ka
tund ho bola wo banka chor daman ko me'ry rast hoty bhi kahin dekha hai kham talwar ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Fri Jul 23, 2010 9:55 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
totay jo te'ri nigah se agr dil habbab ka pani bhi phr piyain to maza hai sharab ka
dozakh mjhy qabool aye munkir o nakeer laikin nahin dimagh sawal o jawab ka
kehta hai aaina k samjh tarbiyaat ki qadr jin ne kya hai sang ko humrang aab ka
tha kis ky dil ko kashmaksh e ishq ka dimagh yaa Rab bura ho deedah e khana kharab ka
zahid sabhi hai na'amat e haq jo hai akl o sharb laikin ajab maza hai sharab o kabab ka
ghafil ghazab se ho k karm per nazr na rkh pur hai sharar e barq se daman suhaab ka
qatra gira tha jo k me'ry ashk e garm se darya main hai hanooz phaphola habbab ka
aaye barq kis tarha main hairaan hoon tery paas naqsha hai theek dil k me'ry iztiraab ka
Souda nigah e deeda e tehqeeq k hazoor jalwa her aik zarrah main hai aaftaab ka
_________________
|
|
|
|
 |
|
Tifl e Maktab
|
Post subject: Re: Mirza M. Rafi Sauda Posted: Fri Jul 23, 2010 10:14 am |
| EverGreen Member |
 |
Joined: Sat Dec 27, 2008 8:39 am Posts: 3604
|
Jo Chalan chalty ho tum kya us se hasil ho way ga khoon se bohtooN k ghubar is rah ka gul ho way ga
kyun na kehty thy dila! sheereeN laboN k munh na lag aik din tjhko ye sharbat zehr e qatil ho way ga
chaak per tery jo phrta hai ye kozah e gulaal ye kabhu humse kisi sirgashta ka dil hu way ga
sharh apni be-qarari ki likhain gay hum agr nama br apna pr perwaz e bismil ho way ga
yaaN jafa o joor ka hum tm na smjhain gay hisaab daftr e mehshar main sab baaqi o fazil ho way ga
sabr ho koh e garaaN jiska to wo azm e safr kar k tuj dar se subk pehli hi manzil ho way ga
kr hosh e fehm e aalm warna kehti hai bahaar jo gul aya is chaman main aik din gul ho way ga
ziyada yak shab se nahin be-qadr hairani me'ri aain to subh-e-dam teray muqabil ho way ga
tujh pe gr khoon e do aalam ka ho dawa be-gunah bol utthay qazi nahin dawa ye batil ho way ga
shaikh ko laye thy Souda is liye hm yaar paas taba'a ko usky tafann is se hasil ho way ga
so wo ab hum chahshm tehra hai hamara ya naseeb tha likha apna k hum main wo bhi shamil ho way ga
hum to wo smjhy thy dil per khabr iski na thi ye laga lo ho shaeedaN beech dakhil ho way ga
_________________
|
|
|
|
 |
|
|