|
| Author |
Message |
|
ckamran
|
Post subject: Sunoo Tum Se Muhabbat hai Posted: Thu Dec 30, 2010 7:08 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Suno! Tum se kehna hy Ager tum maan Jao To... Mere Dil k Samundar mn Chupi Seep ko Jhank pao to Yeh pal do pal ki doori Baes-e-Aazar ho jaye Yeh Jeena ab bhi Mushkil hy Mager phir aur bhi dushwar ho jaye Suno Jub neend Aankhon se bhatak ker Chand ki kirnon ki banhon mn Sama jaye Suhani Chandni Chashm-e-Tamanna mn Sanwartay ,Raqs kertay Khuwab Lamhon ki haseen Yaadon mn kho jaye Koi Jugnoo c zulfon se Badal ko chura ker Raat ke sehra mn so jaye kabhi hansna ager chaho to Aankhain bheeg ci jain Chaman veeran ho jaye Falak hairan ho jaye Ghammon ki dhund mn rasta na mil paye To phir ik kam yeh kerna Dar-e-Jaan khol ker is mn Challi aana Mere hathon mn Apnay hath de ker phir nahin jana Mujhe Pehchan pao to ,Ager tum Jaan jao to Hawaaon se Fizaaon se Barasti in Ghataaon se Mujhe tum se Batarz-e-Khas kehna hy Yehi ik Raaz kehna hy Suno!!!! Tum se Mohabbat hy Mujhe tum se Mohabbat hy........!!!!
|
|
|
|
 |
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: YE AANKHEN SATATI HAIN Posted: Thu Dec 30, 2010 7:13 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Yaadon ke khuwaab dikhati hain
Mujhe saari raat jagati hain
Kab Dil ke raaz chhupati hain
Palkon ke dareeche kholti hain
Kuch apni zaban main bolti hain
Bas apni baat manwati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Ek aan main faisla karti hain
Yeh kab ruswayi se darrti hain
Yeh ghungroo baandh nachati hain
Her waqt yeh jaagti rehti hain
Ek khoj main bhaagti rehti hain
Thak haar ke wapis aati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HAIN
Chupke se kahin larr jaati hain
Phir khuwabon se bhar jaati hain
Jab toote shor machati hain
Ye royen to Dil bhi rota hai
Kab in se juda yeh hota hai
Yeh Dil ko rog lagati hain
Kyun pyaar kiya pachtati hain
YEH AANKHEN BOHAT SATATI HA
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Wo Saari Baaten Khuaab Hui Posted: Thu Dec 30, 2010 7:19 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Vo Sari Baatein Khuwab Hui Aur Khuwaab Se Phir Azaab Huien Jab Tum Ko Saba k Jhonkay Se Paigham Hamara Milta Tha Jab Meri Ik Nazar Se Hi Chehra Yeh Tumhara Khilta Tha Kuch Yaad Sa Tum Ko Hay Jaana? Jab Phone Ki Aadat Roz Ki Thi Kuch Dair Jo Mujh Ko Ho Jati Tum Ghantoon Rootha Karti Thi Kabhi Geeton Ki Kabhi Shairon Ki Tum Khuwahish Mujh Se Karti Thi Kabhi Pyar Tha Meri Baaton Se Mery Chehrey Se Meri Aankhon Se Aur Jhank k Meri Aankhon Mein Tum Khud Ko Dhonda Karti Thi Ik Do Din Dekh Na Pao To Tum BeKal BeKal Rehti Thi Aur Ab To Aisa Aalam Hay Koi Chahat Hay Na Ulfat Hay Kya Pyar Muhabat Aur Wafa Iss Zikar Se Tum Ko Vehshat Hay Main Lakh Tasalli Khud Ko Doon k Ab b Teri Khuwahish Hon Anjaan Bazahir Lagtay Ho Main Ab b Tera Mehwar Hon Par Dhoka Aakhir Dhoka Hay Kab Tak Dil Ko Behlaye Ga Do Pal Ki Khushian De Kar Yeh Mujhay Sadiyan Laho Rulaye Ga Kiun Tum Taqdeer Se Lartay Ho? Kiun Khud Ko Dhoka Detay Ho? Khuwabon k Tukray Chun k Ab
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: cHALAY jAA0 Posted: Thu Dec 30, 2010 7:20 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
~~ Chalay jao ~~ Kahan Ja pao Gay Tum? Chalay Jao...!
Mager Dekhna Khench Lae Ge Meri Muhabbat Us Pal Us Lamhay K Jub Zindagi Ki Dhool Jhulsae GE Mushkiloun Ki Lambi Sadak Thukraege Kisi Badan Key Lams Ki Mehek TersaeGe Kisi Aashna Ko Tersou Gay Baat Kernay Ko Humnawa Dhondoo Gay Jub Kabhe Bikhro Gay To Chaho Gay Koi Sameet Lay Bahoun Main Koi Bharay Aankhooun Main Koi Choom Ker Tumharay Lub Tum Ko SairaaB Ker Dey Us Pal.......! Haan Us Lamhay...! Meri MuhabbaT .! Dekhna Tumhain Khench LaeGe...!
Chalay Jao.................!!!!!
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Mulakaat na Hogi Posted: Fri Dec 31, 2010 5:30 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Dekho gay humen roz magr baat na hoge,
Ik shehar mein rah kay be mulaqat na hoge,
Kehna hay jo abe keh dalo waqt hay,
Kal ko hum hun gay magar surt-e-halaat naa hoge,
Jo pochna hay tumko abe poch lo warna,
Kal shehar mein rasam-e-swalaat na hoge,
Din huy taweel itny hijar kay logo,
Tarpo gay sar-e-shaam magar raat na hoge,
Hum jeet be gaye tu koi jeet na hoge,
Wo haar be jein tu unhy maat na hoge,
Yah soch kay he dil tarap utha hay ab,
Bichren gay kabi yun,kay mulaqat na hoge.
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Kaash Wo tera Khat aakhri na hota Posted: Fri Dec 31, 2010 5:35 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
kaash wo tera aakhiri khat aakhiri na hota bhooli nahi hai tu mujhe ye ehsaas to rehta main tanha to hota magar itna bhi na hota har khat tera wajood banke mere paas to rehta shayad meri mohabbat me ab koi asar na raha ab na hoti hongi teri aakhein nam mere liye shayad tere dil me meri yaadon ka basar na raha ab na uthaate honge tere haath kalam mere liye
lekin lag raha hai mujhko aaj dil ki baaton se jaise kar rahi hai tu bas abhi yaad mujhe likh rahi hai khat koi apne mulayam haaton se jo aake milga bas chand roz ke baad mujhe subah guzar jaayegi shaam ke intezaar me aur shaam nayi subah ke intezaar me guzar jaayegi zindagi guzar jaayegi tere paigaam ke intezaar me us ke baad kya hoga bas maut chali aayegi is aas me chala jaaunga main ye jahan chhodkar ki shayad mera marna hi kuchh kaam aayega shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar jis pal tere paas meri maut ka paigaam aayega kaash wo tera aakhiri khat aakhiri khat aakhiri na hota..
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 8:09 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
kabhi tumne ye socha hay kabhi tumne ye dekha hay k lafzon main k lafzon se tasaadum kaise hota hay tabaahi kaise aati hay wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain dilon main rabt rakhtay hain or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay behnen bayn karti hain pahaarron se jawaan bhai unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain to maayn aasmaan sar pe utthaati hain yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain farishte kaanp jaatay hain yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main ddhalte hain hamaaray din badalte hain to phir ye sochna hoga to phir ye dekhna hoga k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay k ye alfaaz khud andhay nahi hotay ye alfaaz khud zaalim nahi hotay magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain baseerat se diyaanat se sadaaqat se muhabbat se ta'alluq torr lete hain
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Tum Nahi Samjhi Posted: Fri Dec 31, 2010 8:12 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Bahoot baar kehna chaha tha maine par...
Tum nahi samjhi
Hamari dosti aur pyaar ke bhich ki patli lakir Kab miti pata nahi........ ......... .. Un nazdekiyo ka sabab batana chaha tha maine par...
Tum nahi samjhi
Saath Chahata tha tumahara, taumar ke liye Kyon ? kaise kehta tumse ye baat main Tumahare liye apna pyaar jatana chaha tha maine par...
Tum nahi samjhi
kabhi jhakkar meri aankho mein tho dekha hota Saari dasta khud ba khud padh leti tum Beintehaa pyaar jhalakta hai tumhare liye in main par...
Tum nahi samjhi
Sitaro ki chadar se jab chalkti chandni chuti mujhko To lagta ki mano Bahoo main bhar liya tumhe Main bekarar hoon tumahare liye par is bekarari ko...
Tum nahi samjhi
Apna kaam, Apne dost, Apne aap main hi khoyi rahi, Apni Masrufiyat se tumhe na waqt mila, Mere sapne, meri aarzoo, mere armano ko...
Tum nahi samjhi
Apne armano ko daphnakar jab main...... Mere aasu pochte tum, mujhe samjhati rahi Un aasuo ka kaaran, apna pyaar khone ki tadap, Meri Adhuri kahani ko...
Tum nahi samjhogi.... .......
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 8:19 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo Barish Ka Woh Bhega Pani Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon Sochta Hoon Kya Likhoon?
Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat Aankhoon Mein Thi Thori Shararat Aur Baatoon Mein Woh Nazakat Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?
Kuch Likhna chahata Hoon Sochta Hoon Kya Likhoon?
Unka Aaker Muskurana Jo Rooth Jaon To Manana Jate Jate Phir Rulana Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?
Kuch Likhna Chahata Hoon Sochta Hoon Kya Likhoon?
Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana Her Shaam Ek Diya Jalana Soi Umeed Ko Roz Jagana Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 8:39 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Suno tm azm waly o balaa ka zabt rakhty ho.. Tumhen kuch b nhi hoga. Mgr socho..!! Jisay tum chor jao gy... Usy to theek sy shayad.. ...Bicharna b nahi aata..
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 10:46 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
usay jab yaad aaye ga k saawan lot aaya hai bula le ga woh mujhko ya khud hi lot aayega
usay jab yaad ayega main kaise muskuRata tha to aankhein muskuRayengi, ya daaman bheeg jayega
usay jab yaad ayega main kaise naam leta tha to meRa naam likhega, ya apna bhi mitaayega
usay jab yaad aayega mera khaamosh sa rehna to sab ko bol dega wo ya khud se bhi chupaayega
usay jab yaad aayega meRa nange sar phirna
to bijli ban ke karke gaa, ya baadal baN ke chhaye ga
usay jab yaad aayega mera chalna, mera phirna to raah meiN khaaR boye ga, ya phir palkein bichayega
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 10:55 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Ajab Pagal Si Lardki hai Mujhay her khat main likhti hai "Mujhay tum yaad kertay ho? Tumhain main yaad aati hooN?" meri baatain satati hain meri neendain jagati hain meri aankhain rulaati hain december ke sunehri dhoop main abb bhi teheltay ho? kisi khamosh rustay se koi awaaz aati hai? Thatharti sard raatoN main tum abb bhi chhatt pe jaatay ho? falak ke sab sitarooN ko meri baatain sunatay ho? kitaboN se tumharay ishq main koi kami aai? ya mairi yaad ke shiddat se aankhoN main nami aai? Ajab pagal Si larki hai mujhay her khat main likhti hai..
Jawaban us ko likhta hooN.. meri masroofiyat daikho subah se shaam office main chiragh-e-umer jalta hai phir ous k baad duniya kee kayi majbooriyan pao`n main bairi daal rakhti hain mujhay bay-fikr, chahat se bharay sapnay nahin dikhtay Tehelnay, jagnay, ronay kee mohlat hee nahin milti sitarooN se millay arsa hua..naraz hon shayad kitabooN se shughaf maira abhi waisay he qayem hai farq itna parra hai ab ounahin arsay main parhta hooN tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN
ke main khud ko bhulanay kee musalsal justajoo main hooN tumhain na yaad aanay kee musalsal justajoo main hooN mager yeh justajoo meri bohat nakaam rehti hai mere din raat main abb bhee tumhari shaam rehti hai mere lafzooN ki her maala tumharay naam rehti hai tumhain kis ne kaha pagli tumhain main yaad kerta hooN poorani baat hai jo log akser gungunatay hain ounhain hamm yaad kertay hain jinahin hamm bhool jatay hain ajab pagal si lerki ho meri masroofiyat daikhoo tumhain dil se bhulaooN tu tumhari yaad aaye na tumhain dil se bulanay kee mujhay fursat nahin milti aur iss masroof jeewan main tumahray khat ka ikk jumla "tumhain main yaad aati hooN ?" meri chahat ki shiddat main kami honay nahin daita bohat raatain jagata hai mujhay sonay nahin daita so agli baar apnay khat main yeh jumla nahin likhna ajab pagal si larki hai mujhay phir bhee ye likhti hai mujhay tum yaad kertay ho tumhain main yaad aati hooN ?
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 11:00 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
apni rusavaaee, tere naam ka charchaa dekhun ek zara shaer kahun aur main kyaa kyaa dekhun
neend aa jaaye to kya mehfilein barpaa dekhun aankh khul jaaye to tanhaaee ka sehraa dekhun
shaam bhi ho gaee dhundhalaa gaee aankhein bhi meri bhoolney waley main kab tak tera rastaa dekhun
sab zidden us ki main poori karun, har baat sunoon aik bachey ki tarah se ussey hanstaa dekhun
mujh pe chhaa jaaye wo barsaat ki khushbu ki tarah ang ang apna ussi rutt mein mehaktaa dekhun
tu meri tarah se yaktaa hai magar mere habib! jee mein aata hai koi aur bhi tujh saa dekhun
main ne jis lamhey ko pooja hai ussey bas ek baar Khwaab ban kar teri aankhon mein utartaa dekhun
tu mera kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaaney kyon terey liye dil ko dharaktaa dekhun!!
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 11:08 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Woh Ju Roz o Shab Mere Paas The Wohi Loog Mujh Se Bicher Gaye
Jo khayal thay na qeeyas thay wohi log mujh se bicher gaye Jo Muhabatoon ki asas thay wohi log mujh se bicher gaye
Jinhain manta hi nahi yeah Dil ' Wohi log mairay hain humsafer Mujhay her tarha se jo raas thay' Wohi log mujh se bicher gaye
Mujhay lamha bhar ki Rafaktoon' Ke sarab aur sataien gaye Mairy umer bhar ki jo Payas thay wohi log mujh se bicher gaye
Yeah khayal saray hain Aarzi' Yeah gulab hain saray kaghzee Gul Aarzoo ki jo baas thay wohi log mujh se bicher gaye
Jinhain ker saka na kabool main ' wo shareek-e-rah-e-safar howe Jo meri talab' mairy Aas thay wohi log mujh se bicher gaye
Meri dharkanoon ke kareeb thay' Meri Chah thay' Mera Khawab thay Wo jo Roz-O-Shab mairay paas thay wohi log mujh se bicher gaye
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Dec 31, 2010 11:53 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Hamara sath dainy ko Saawan k bharry badal Gallay mill mill ker royen gy Phir itna paani barsay ga Samander seh nahi paey ga ......Karo na zid chalay ao RAKKAHA hai kya DECEMBER mai Dilon mai pyar hai tou phir MAHEENAY sary achay hain Kisi bhi pyary mosam mai Chupkay say chalay aao DECEMBER tou DECEMBER hy DECEMBER ka bharrosa kya DECEMBER beet hi jaey ga Hamara sath dainy ko Karo na zid chalay ao
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 7:39 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Lo Akhri din b bet gya hy. Bulbul bazi jeet gya hy. Tmhary loutny ka wada. Aj tou voh b toot gya hy. Mery angan k shajar py. ...Bulbul betha gunguna raha hy. Roz jo shart lagaty thy ham. Jeet k gany ga raha hy. Dil ko girwi rakha tha maine. Lo aj mera dil doob gya hy. Han aj main bazi har gya hun.. Tu na lout k aya hy. Bulbul bazi jeet gya hy.
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 7:41 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Meri dua hai, Naya baras ho tumhry jaisa, Na kisi ka Dil dukhane wala, Muhabbaton ke, Rafaqaton ke, Chiraagh har su jalane wala, ...Jahan me koi nahi hai jinka, Unhy galay se lagane wala, Ujaar aankhon ko zindagi ke, Dobara sapne dikhaane wala, Udaas logon ke aangano me, Khushi ke bailen ugaane wala, Faqat Muhabbat, Faqat Muhabbat, Faqat Muhabbat sikhane wala,
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 7:42 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Aao Uss Ajnabi Koo Yaad Karain Phir Apni Zindagee Koo Yaad Karain
Waqt Ney Chhen Lee Hai Joo Ham Sey Chaloo Ik Ik Khushi Koo Yaad Karain ... Chaloo Dariya Kinaarey Ham Chal Ker Apni Her Bey-Khudi Koo Yaad Karain
Kaisey Khhouyah Tha Ham Ney Her Lamha Apni Uss Bey-Basee Koo Yaad Karain
Aaou Chup Chaap Baithh Ker Yoo’nhi Her Kanwal Her Kalee Koo Yaad Karain
Zindagee Jiss Kay Naam Ki Ham Ney Aaou Uss Ajnabi Koo Yaad Karain
Kiya Tha Haasil Teri Muhabbat Ka Haan Uss Aashqi Ko Yaad Karain
Ab Beronaque Hain Yaadou’n Kay Saaey Chalo Ham Her Ghari Ko Yaad Karain
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 7:43 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Suno mein laut aya hoon Meri batein Meray waday Mein apne saath laya hoon, ...Suno meri dharkan mein Wohi ik saaz bajta hai Andaz meri baton ka Tera andaz lagta hai Khazaan k zard patton ko Barf se sard mosam ko Hijar ki garm aahon ko Tanhai ki bahon ko Suno Main chor aya hoon Abhi jo sakt baaqi hai Mera jo wqat baaqi hai Sameto mujh ko bahoon mein Mujhay chand khushiyan de dalo Meray sab gham sameto tum Chand lamhay mujh ko de dalo Mein sab rishtay Sabhi natay Sabhi bandhan Sabhi dhage Suno Mein tor aya hoon Suno mein laut aya hoon
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 7:56 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
AB BHI POOCHTE HO MUQAAM APNA..!! KEH JOH DIYA ZINDGI HO TUM..!!
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 8:15 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Ajab pagal si larki hai… Wo mujh se jab bhi milti hai, Naya ik naam deti hai, naye pehchaan deti hai, Meray andar ke sab mosam bina meray kahey hi wo hamesha jaan laiti hai, Meri barson purani baat bhi wo yaad rakhti hai, ...Mujhay her baar kehti hai, teri aawaz ka jadoo mujhay sonay nahi deta, Ajab pagal si larki hai…. !! Wo mujh se jab bhi milti hai, Mujhay her baar kehti hai, Teray honay se meri zaat ki takmeel hoti hai, Usay maloom bhi hai main to khud ik aam larka hoon, ...…Magar wo mujh se kehti hai, Nahi tum sa koi dooja,
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 8:18 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Tumhe tumhari ijazaat se Apne dil mein basana chahta hoon
...Apne naam k saath joar kar tumhara naam Duniya ko sar-e-aam dikhana chahta hoon
Kab ho Qubooliyat ki ghari na jaane Tumhe har dua mein mangna chahta hoon
Ho jaao tum meri aur main tumhara Harr pal bas yehi ehsaas chahta hoon
Tum se hi ki bass mohabbat main ne Apni sari zindagi tumhare sang chahta hoon
Karta hoon aaj main ye iqraar Main bass tumhe bass tumhe hi chahta hoon
Haq ke saath kahoon tumhe main apna Tumse bass aaj main yehi raza chahta hoon
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 8:30 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Tumharey baad kaun banega mera humdard..!! Hum nay tO apnay bhi khoye hain tujhe panay ke liye..!!
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 8:39 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Nahi hai MOHSIN ko tum sy shikwa, tumhari sitam-garri ka K tum ko dars-e-wafa mila hai, "udaas rehna" "udaas rakhna"
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 8:42 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
kitni mushkil se kati kal ki meri raat na pooch dil se nikli hui honton me dabi baat na pooch
wo kis adaa se merey saamnay se guzraa abhi kis tarha mainay sambhaley merey jazbaat na pooch ... waqat jo badley to insaan badal jaatey hain kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch
wo kisi ka ho bhi gaya or mujhey khabar na hui kis tarhan usney chudaya hai mujh se haath na pooch
Is tarhan pal mein mujhay begana kar diya usnay Kis tarhan apno se khaai hai mainey maat na pooch
ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch bhi nahi kitni mushkil se bani thi dil ki kayenaat na pooch
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sat Jan 01, 2011 8:51 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Akeley Tou Hum Pehly Bhi Jee Rahey They....,
Kiyun Tanha Sey Ho Gaye Hain Terey Janey Ke Baad.....!!
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Sun Jan 02, 2011 12:57 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
TUM BIN....
Uljha lehja.....
khoyi aankhein..... ... Thande haath.....
Be-rang chehra....
Bad akhlaaq.....
Dekho...!!
Tum bin...
Kya hoon mein....
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 9:42 am |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Chälo Phir Shart Lag Jay
Me Sabit Aaj Kr Doon Gi
K Tum Ne ...Dil-Lagi Ki He
Muhabbat Naam Ki He
Sun Kr Us Ki Baaton Ko
Me Bola Saada-Dil Larki Agr Me Dil-Lagi Krta
To Jeene Se Na Yun Darta
Muhabbat Naam Ki Krta
Wafayen Aam Si Krta
Magr Phir B
Teri Taskeen Ki Khatir Ye Kehta Hoon
Haan!
Mene Dil-Lagi Ki Thi
Tujhe Apna Hi Samjha Tha
Tujhe Dil Se Lagaya Tha
Jahan Na Koi Gham Pohanchy
Wahan Tujh Ko Chupaya Tha
Magr Jaana'n Yakeen Jano
Tumhare Hosley Ki Daad Deta Hoon
K Kitni Be-Rukhi Se Tum Ne Keh Dala
CHALO PHIR SHART LAG JAY K TUM NE
DIL-LaGI KI He
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 9:43 am |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Yeh jo aankh meN pani hai Gham ki ek kahani hai
Dil ne bus yeh Thaani hai Us pe jaan gaNwaani hai
Dil ki maneN dil wale Zahn ki kis ne mani hai
armaaN dafn kareNge aaj Dil meN qabr banani hai
aag ki aag sharab-e ishq aur paani ka paani hai
pyar ke diye ki Khair manaao raat bahut toofaani hai
Sub ko raat bitani hai us pe jaaan gawani hai
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 9:48 am |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Ek bheegi hui si raat mile us raat me tera hath miley
tere lab se tapkein jo bonden unhe mere honto ka sath miley
Kuch tum bhi behke behke se kuch mujh pe nasha sa taari ho
Har pal me chhaye madhoshi Ek aisi raat hamari ho
Phir tum aao meri baahon me tum pyar karo mujhe ji bhar k
Mai tum se thora sharmaon sharma k galey se lag jaon
Tum jitna mujh ko pyar karo Mai utna hi betaab hojaon
Hame pyar k kuch lamhaat miley Ek bheegi hui se raat miley
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 9:53 am |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
|
Tanhai mein ajeeb zamaney ki wafa dekhta raha Umer bhar apna ghar tanha dekhta raha
Kahin na kahin to badal hi jatay hain silsilay Magar main jahan gaya sehra dekhta raha ... Jane kyun qatratay hain log mujhe milne say Kal shab dair talak aaina dekhta raha
Pani mangte magte meray honth pathar ho gaye Woh shaks mashkiza liye khara dekhta raha
Be-gunah tha phir bhi sir jhukaye hue Sitam-gar ki sitam ki inteha dekhta raha
Umar bhar mohabbat ka kuch youn silsila raha Main usay or woh duniya dekhta raha
Kahon ga KHUDA se youm-e-hisaab ko MOHSIN Ke zamana meri barbadi ka tamasha dekhta raha
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 9:54 am |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
ay naye saal bata, tujh mai nayapan kiya hay? har taraf khalq ne Q shor macha rakha hay?
Roshni din ki wohi, ...taronn bhari raat wohi, Aaj b hum ko nazar aati hay har baat wohi,
Aasman badla, na badli hay ye afsoorda zameen, Aik hindsay ka badalna koi jiddat to nahi,
Aglay barson ki tarha hon gay qareenay terey, kessay maloom nahi 12 mahiny tery?
Be-sabab detay hain Q log MUBARAK badain? sub kiya bool gaye waqt ki karwi yadain?
tou naya hai tou dekha subha nai, sham nai, warna in aankohon ne dekhhay hain naye saal kiya
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 10:03 am |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Tumhein Kitna Yeh Bola Tha K Meri Zindagi Mein Iss Tarah Shamil Nahi Hona Jab Aankhein Subah Ko Kholon,Pukaroon Naam Main Tera Kabhi Jo Aayeina Dekhon Tumhara Aks Meri Aankh Ki Putlii Mein Jam Jaye Khushi Mujh Ko Milay Koi Tumhara Sath Main Dhoondoon Dukhon Mein b Yehi Chahoon k Mery Pass Bas Tum Ho Tumhein Kitna Yeh Bola Tha Mujhay Badal Se,Barish Se Muhabbat Hay Hamesha Se Magar Tum Ne Muhabbat Ko Junoon Mein Kiun Badal Dala? Main Ab Barish k Mausam Mein Tumhi Ko Dhoondta Kiun Hon? Inhii Sochoon Mein Bheegta Hon,Main Tanha Bheegta Kiun Hon? Tumhein Kitna Yeh Bola Tha Meri Aadat Nahi Badlo Meri Khatir Nahi Badlo Magar Tumne Badal Dala...!!! Mera Sab Kuch Badal Dala ...!
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 10:05 am |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Ajab Pagal Si Larki Thi Mujhay Har Roz Kehti Thi Batao Kuch Naya Likha ? Kabhi Uss Se Jo Kehta Tha k Main Ne Nazm Likhi Hay Magar Unwan Dena Hay Bohat Betab Hoti Thi Vo Kehti Thi Sunao... Main Isay Acha Sa Ik Unwan Deti Hoon Vo Meri Nazm Sunti Thi Aur Uss Ki Bolti Aankhein Kisi Missrey,Kisi Tashbeeh Par Yun Muskurati Thin Mujhay Lafzoon Se Kiranein phootTi Mehsoos Hoti Thin Vo Phir Iss Nazm Ko Acha Sa Ik Unwan Deti Thi Aur Uss k Aakhri Missrey k Neechay Ik Adaay Be Niazi Se Vo Apna Naam Likhti Thi Main Kehta Tha Suno.... Yeh Nazm Meri Hay To Phir Tum Ne Apnay Naam Se Mansoob Kar Li Hay ? Meri Yeh Baat Sun Kar Uss Ki Aankhein Muskurati Thin Vo Kehti Thi,Suno Saada Sa Rishta Hay k Jaisy Tum Mere Ho,Iss Tarah Yeh Nazm Meri Hay Ajab Pagal Si Larki Thi...!!!
|
|
|
|
 |
|
*MEHRE*
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 11:15 am |
| Super Dooper Member |
 |
Joined: Wed May 04, 2005 10:07 am Posts: 32417 Location: Maa ki duaon mey
|
|
zaberdast sharing kamran ji
_________________
|
|
|
|
 |
|
ckamran
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 1:54 pm |
Joined: Fri Oct 23, 2009 8:32 pm Posts: 157
|
Chehre Pe Khushi Chha Jaati Hai, Aankhon Mein Suroor Aa Jaata Hai, Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho Apne Pe Guroor Aa Jaata Hai,
Tum Husn Ki Khud Ek Duniya Ho, Shayad Ye Tumhe Malum Nahi, Mehfil Mein Tumhare Aane Se, Har Chiz Pe Noor Aa Jaata Hai,
Hum Paas Se Tumko Kya Dekhein, Jab Tum Mukabil Hote Ho, Betaab Nigahon Ke Aage, Parda Sa Zaroor Aa Jaata Hai,
Jab Tumse Mohabbat Ki Humne, Tab Jaake Kahin Ye Raaz Khula, Marne Ka Saliqa Aata Hi Nahi, Jeene Ka Shaoor Aa Jaata Hai. ..
|
|
|
|
 |
|
sono
|
Post subject: Re: THOKAR LAGI TOU Posted: Fri Jan 07, 2011 5:35 pm |
| Admin |
 |
 |
Joined: Tue Sep 27, 2005 3:41 am Posts: 46377
|
bohat khoob kamran ji  keep sharing
_________________
|
|
|
|
 |
|
|