|
Author |
Message |
Annush
|
Post subject: Meri Pehli Muhabbat Hai Posted: Sat Jun 12, 2010 8:35 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Zara Sa Dhiyan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai, Wafa Ka Man Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai,
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Tujh se bichad ke hum bhi muqaddar ke ho gaye Posted: Sat Jun 12, 2010 8:36 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Tujh se bichad ke hum bhi muqaddar ke ho gaye Phir jou bhi dar mila usi dar ke hou gaye
Aey yaad e yaar tujh se karein kya shikayatein Aye dard e hijr hum bhi tu pathar ke hou gaye
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahee Posted: Sat Jun 12, 2010 8:37 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Main saahil pey likhee hoee ibaarat nahee Jo lehron se mit jaati hay Main baarish ki barasti boond nahee Jo baras ker tham jaati hay Main khwab nahee Jisey dekha aur bhula dya Main shama nahee Jisey phoonka aur bujha dya Main hawa ka jhonka nahee Jo aaya aur guzar gaya Main chand bhi nahee Jo raat k baad dhal jaye Main to woh ahsaas hoon Jo tujh main lahoo ban ker gardish karay Main to woh rang hoon Jo teray dil pay charay to kabhi na mitay Main woh geet hoon Jo teray labon se juda na hoga Main to woh parwaana hoon Jo jalta rahayga magar fana na hoga Khwab,ibaarat,hawa ki tarah Chand,boond,shama ki tarah Meray mitnay ka sawaal nahee Kyunkay MÄÏN TÖ MÖHÄßßÄT HÖÖN
Aur Mohabbat Koi Zawaal Nahee
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Meraa dard naghma-e-besada Meri zaat zarra-e-bay nishaan Posted: Sat Jun 12, 2010 8:38 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Meraa dard naghma-e-besada Meri zaat zarra-e-bay nishaan
Mere dard ko jo zubaan mile Mujhe apanaa naam-o-nishaan mile
Merii zaat ko jo nishaan mile Mujhe raaz-e-nazm-e-jahaan mile
Jo mujhe ye raaz-e-nihaan mile Merii khaamoshii ko bayaan mile
Mujhe kaayanaat kii saravarii Mujhe daulat-e-do-jahaan mile
By Faiz Ahmed Faiz
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Agar Shaya Karao Apna Pehla Sheri Majmua, Posted: Sat Jun 12, 2010 8:38 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Zara Sa Dhiyan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai, Wafa Ka Man Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai,
Kahan Is Umer Mein Hum Bhais Badlein Gay Faqeeron Ka, Milan Aasaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judayi K Dino Mein Log Chehray Bhool Jatay hain, Meri Pechaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai,
Judayi Toh Main Seh Longa Magar Tum Phir Se Milnay Ka, Koi Imkaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai,
Agar Shaya Karao Apna Pehla Sheri Majmua, Toh Yeh Unwaan Rakh Lena Meri Pehli Muhabbat Hai
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Garmey-e-Hasrat-e-nakam se jal jate hay, Posted: Sun Jun 13, 2010 8:32 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Garmey-e-Hasrat-e-nakam se jal jate hay, Hum charagon ki tara sham se jal jate hay,
Shama jis aag may jalte hay numaish ke liye, Hum usi aag may gumnam se jal jate hay,
Jab bi aata hay Tera nam Mere nam ke sath, Jane kyon log Mere nam se jal jate hay
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Poetry SMS Posted: Sun Jun 13, 2010 8:33 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Hai Aaj Bhi Apni 'Anna' Ka Wahi Mizzaj.. Mushkil Hai Apne Dard Ka Izhar Aaj Bhi
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Sochiye To Husn Itna Bewafa Hota Nahi. Posted: Sun Jun 13, 2010 8:34 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Sochiye To Husn Itna Bewafa Hota Nahi. Husn Ki Majburiyon Ko Berukhi Kehte Hain Log
|
|
|
|
 |
Annush
|
Post subject: Rut Jo Badli To Badalte Dekha Usko Posted: Sun Jun 13, 2010 8:34 pm |
Joined: Fri Jun 04, 2010 11:38 am Posts: 64
|
Rut Jo Badli To Badalte Dekha Usko Moom ki tarha pighaltey hoe dekha us ko,,,,
Wo jo kaanton se b narmi se chhua karta tha,,, Hum ne phoolon ko masaltey hoe dekha us ko,,,
Janey kis gham ko chupaney ki tamanna hai usey,,, Aj har baat pe hanstey hoey dekha us ko,,,,
Jaaney wo duaon me mangna chahta hai kisey,,, Haath uthaatey hi sisaktey hoe dekha us ko
|
|
|
|
 |
JÎA
|
Post subject: Re: Meri Pehli Muhabbat Hai Posted: Mon Jun 14, 2010 2:30 pm |
Joined: Mon Jun 23, 2008 9:41 pm Posts: 13754
|
Anuush i have merged all your thread into this single thread, ap apni sari collection ab yahan hi share kariye ga. Gud luck 
|
|
|
|
 |
ch@ndni
|
Post subject: Re: Meri Pehli Muhabbat Hai Posted: Sat Jul 17, 2010 6:39 pm |
Super Dooper Member |
 |
Joined: Thu Jul 19, 2007 12:44 am Posts: 35609 Location: Chaand ki Aagosh Mein
|
Very nice sharing  keep it up
|
|
|
|
 |
|
|