|
| Author |
Message |
|
pakprince
|
Post subject: ~~PakPrince Pakistan se Eroup Tak~~ Posted: Mon Aug 01, 2005 12:14 pm |
Joined: Fri Mar 25, 2005 3:37 am Posts: 65
|
|
Asalamualikom all friends hop k app sab bilkol theek thaak hogay .. main yahan koch likh na chahta hon ager app logon ki ejzat ho tou ..?
sach pocho na mojhe eroup bilkol b acha nahi laga ...
Main Pakistan main software eng. ker raha tha Maray software eng. k do sal complete hone walay thay or main bara khush tha or mari class main positions a rahi theen aik din mara aik couzin mojhse milne aia maray ghar or osne bataya k wo bahir k lie apply ker raha hay ..
oski batain son ker mojhe b josh aia k main b kyun na bahir jaon per mojhe kia pata tha eroup kia bala hay .. main osdin tou khamosh raha lakin main rat ko soch ta raha subah hotay hi maine upne couzin ko phone kia k main b bahir jana chahta hon .
maray couzin ne kaha abi kia zarorat hay app upni study complete kero but maray oper asa bhoot sawar howa k maine koch b na socha or ose bola main b apply ker na chahta hon jab maine zid ki tou osni han kerli ..
jab osne han ker li tou mojhe sari raat need nahi aie main taray ginta raha or maray lie raat etni lammbi ho gai thee k subah hone ka name nahi a raha tha kyun k maine srif upne couzin se srif abi phone per bat ki thee subah osko milna tha or phir apply ker na tha ... bari mushkil se taray gin gin ker suabah ho gai main namaz per ne lie gia daily main namaz per k sota tha but osdin main soya nahi sidha upne cozin k pass gia or ossay procedure or saray docoments oskay hawalay kia or osne mojhe aik consultent se milaya jab oskay pass gia tou oskay jawab sone walay tha app ka viza pakka hay app apply kero ...
hum ne pocha konse country osne bola ager eroup jana hay tou hungry k lie apply kero yahan app ka viza 100 % hoga maine socha ub tou main pakka hi chala jaon ga bas maray apply kerne ki dair thee k sari family main dhonmain mich gai k sarem bahir ja raha hay .. family hi kia net per b sab dost yahi pochtay thay k kab bahir ja rahay ho koch dost tou mara mazak b ora tay thay .. onka pocha na mojhe bohet bora lagta tha jab wo mojhe kahtay thay tum UK se bol rahay ho baki tou mojhe kisi ka pata nahi Majid bhai ne tou maray mazak per 1st April b manaya tha ..
forum per .. aik hisab se maray lie jina hazab ban gia tha kia problem tha k main b jab bahir nikal tha ghar se tou saray hi yahi pochtay thay k bahir kab ja rahay ho bahir main yahi kahta tha jaon ga abi nahi ja raha ..
mojhe interview ki date mil gai hungry but mojhe kia pata tha wahan kia hone wala hay main tou yahi soch ta tha k jatay hi viza lag jaie ga but mojhe kia pata tha k hungry walay etnay ganday hain interview b nahi lain gain or refuse ker dain gain ..
kissa mukhtaser main hungry se refuse ho gia with out any reason .. main or zaida upset ho gia idher se maray do sall atech k complete ho gai thay ub main bilkol free tha maine agay study b ja rahi ki kyun k mojhe bataya gia tha k tumara viza pakka hay islie study ki koi zarorat nahi hay start ki ub tum eroup main hi ja ker per na ..
phir maine aik or fisla kia main Multan chala gia upni phupo k passs B.A k papers day ne lie maine socha free hon tou kyun na b.a hi kerlon Punjab Universty se islie nahi ki kyun k wahan papers ho chokay thay ..
Main or mara couzin donon Multan aie mara admission dayne k lie .. admission day ker main wapis a gia lahore koch kam tha oskay bad main again Mulatan chala gia koch din k bad do month k lie ..
Multan main upni phupo k ghar thaira tha mari phupo or phupar donon hi bohet hi nice hain .. onki koi Olad nahi hay i mean onkay bachay nahi hain islie wo dono alone hi rahtay hain jab main onkay ghar gia tou onko bari khushi hoi k main onkay ghar aia hon wo donon bohet khush tay .. app ko main kia kia bataon onohne mojhe asi asi cheezain khilain jo shaid maine zindagi main pahle bari khain theen .. or bohet hi tasty theen.. per kia keron maine wahan english ki tuestion rakh li 5 hundred rupees diay aik month k lie sirf english per ne k lie lakin maine sirf teen din para tha oskay bad mara dill nahi laga multan main kyun k wahan mojhe upni omer koi compny nahi mili shaid islie ..
maine upni phupo ko bola main Bahawalpur jana chahta hon jab mari phupo ko pata chala tou wo bari udas hoin .. app ko ye bata ta chalon mara Bahawalpur main kon rahta hay .. Bahawalpur main maray taya abu k baray baitay rahtay hain jinka upna busniss hay NBS k name se agriculture ki compny hay .. or onkay do sons or aik daughter hay. maine socha chalo Bahawalpur chalatay hain wahan bachay hain mara dill lag jaie ga .. kyun k main bachon k sath khail na pasand kerta hon ...dosri bat jab maray couzin ko pata chala k main multan aia howa hon onohne mojhe phone kia tum multan main kia ker rahay ho Bahawalpur nahi a saktay kia yahan akay study kero.. kyun k Bahwalpur or Multan ka sirf aik ghantay ka distance hay.. Bat yahan khatam hoti hay main Bahwalpur janay k lie tayar hogia maine upna bage pack kia or phupo ko salam kia Bahwalpur ki taraf chal dia main Bahawalpur or Multan pahli bar aia tha kyun k ye lahore se kafi door hain donon city takreeban 6 hrs distance hay upni gari main..
safer ka tou app ko kia bataon chalo aik mazay dar cheez deakhi maine safer main i mean jo bus main thee wo app k sath zaror share keronga .. main upni seat per baitha howa tha k ail lerki bus main enter hoi pahle idher odher deakhti rahi jab k sari bus khali thee pata nahi oskay dill main kia aia wo mari peachay wali seat per aram se baith gai ..
mojhe kia pata tha kia hone wala hay abi maray sath jis side per main baitha howa tha na ostaraf se taiz dhoop a rahi thee maine perdah agay kia howa tha oslerki ne kia aram se wo pardah maray mirror k samne se hata dia ..or dhoop maray mun per ana shoro ho gai pahle tou main chup raha jab maray se bardashat na hoi tou maine wo pardah upni taraf khaincha or phir se mirror k agay ker diay ..
maine abi kia hi tha k osne phir se khainch dia .. main bara parashan tha ye ho kia raha hay jab k ye mari window ka perdah hay phir ye asa kyun ker rahi hay ..ye jhagra kafi dair tak chalta raha...
jari...................................hay..........>
|
|
|
|
 |
|
|
 |
|
pakprince
|
Post subject: Posted: Fri Sep 09, 2005 2:24 pm |
Joined: Fri Mar 25, 2005 3:37 am Posts: 65
|
|
main jab bahawalpur main poch gia tha.. o main ye bata na tou bhool hi gia bahawalpur main mara kon rahta hay .. bahawalpur main maray taya abu or onkay baray bitay rahtay hain or onkay do bachay or aik bachi hay i mean maray couzin rahtay hain jin ka upna busniss agriculture ka.. jab main bahawalpur pocha tou takreban 5:10pm howay thay main abi gate main enter hi howa tha samne garden main irfan baitha howa tha or oskay pass hamsaie khari hoi thee maine salam kia or onohne salam ka jawab dia .. lo ji kerlo gal maine ye tou bataya hi nahi irfan kon hay irfan mara aik couzin hay jo bahawalpur main MBA k papers day ne aia howa tha i mean aik do sall se rah raha tha wahan ..
wo mojhe sidha mojhe mari bhabi k pass lay gia . jo ye bhabi hain ye maray real mamo ki beti hain .. i mean ye b mari couzin hain .. islie ye ghar maray lie bohet acha tha kyun k sab upne hi thay ..
maray couzin k sab se baray batay ka name sohaib hay or ossay choti onki beti hay jis ka name moniba hay .. or thrid number per awab hay jo sab se piyara hay but iski nazer week hay bachpun se hi glasess lag gai hain. ye tou tha mari taraf se introduction of bahawalpur .. yahan mara acha wakat guzer raha tha .. or main study kam or net zaida use kerta tha .. sari raat net per guzer thee mari main yahan aia kyun tha bhala wo main islie aia tha mojhe driving nahi ati thee wo seakhni theee.
bhai ne driver ko kaha sarem ko tum ne driving seakha ni hay ..
main kia kerta tha main sham ko driving or rat ko net or sara din sota rahta tha.. yahi mari zindagi the bahawalpur ki maray couzin k bachay maray sath istarah ghol mil gai thay k wo na maray bagair sotay thay na kha tay thay subah main sota rahta tha wo maray pass baithay rahtay thay kab main othonga kab onse bat keronga ..
jo sab se chota hay osko tou maray se aik kisam ka piyar hi ho gia tha .. wo mojhe kabi letter likhta kabi happy wishes k card bana ker dayta .. pata nahi kia kia likhta tha.. aik card ka app ko bata hon jis main osne likha howa tha .. "dont Go Sarem uncle .. i will miss u lot of"... maine multan jana tha islie osne ye card banaya tha maine upne pass rakha howa hay .. wo ajj b .. bas asa mari zindagi guzer rahi thee aik din rat ko achanak maray osi couzin ka phir se phone aia sarem maine aik consultent se bat ki hay main aik asay country main apply ker raha hon jahan student ko study k sath work b allow hay .. or wo kah raha hay sarem ko 100% viza mil jaie ga kyun k iski study main koi gaib nahi hay but mojhe shaid na milay .. maine bola ub 100% kah raha hay tou apply kerdo wase b main tang a choka tha ye batain son son ker tum bahir kab ja rahay ho gussa b ata tha per kia keron koch ker nahi sakta tha islie maine han kerdi osne mojhe bataya paisay achay khasay lagain gain or 500 erou constultent khod layga but kam honay k bad maine bola ker wa do tum bas jitne b paisay lagtay hain .. istarah phir se mara process shoro ho gia bahir janay wala...
jari hay...............................?
|
|
|
|
 |
|
pakprince
|
Post subject: Posted: Fri Sep 09, 2005 2:24 pm |
Joined: Fri Mar 25, 2005 3:37 am Posts: 65
|
|
mojhe bahawalpur se phir multan jana tha papers day ne k lie main phir bahawalpur se multan gia phupo k pass wahan ja ker phir dil na laga .. per kia keron majboori thee rah na pera kyun k papers day ne thay mara aik aik din aik aik sal k bara ber lag raha tha mojhe ..
papers start ho gai hay sab se pahle paper english ka tha acha howa oskay bad ecnomis phir hotay gai paper sab k sab achay ho rahay thay mojhe bari umeeed thee maray achay number ajain gain B.A main per mojhe kia pata tha agay kia hone wala hay ..main tou bara khush tha aik din rat ko phir se maray couzin ka phone aia k tumara interview hay 30 june 2005 ko maine bola yar 30 ko tou mara papers hay or mara last papers 2 july ko hay kahta hay papers ko choro tum interview ki try kero maine osi time book band kerdi or papers day ne ka khawab chor dia i mean B.A ka khawab . . main 28 ko ghar a gia i mean lahore main ghar nahi gia kasur main but lahore main a gia tha kyun k maine interview k lie islambad jana tha main 29 ko isb chala gia .. wahan main upne aik phupo k ghar roka wo phuper tou thay maray but bohet door k thay..
maray sath mara wo couzin b tha jis ne mojhe phone kia tha hum next texi lay ker ambsy pochay wahan ker kia deakhtay hain etna rash tha lerkon ka .. main tou samajh raha tha main akay la hi honga or mara viza lag jaie ga per mojhe kia pata tha wahan maray se pahle hi bohet se log pochay hongain wahan... khair goray aie or interview shoro howay maray se pahle do lerkay gai pata nahi onse kia pocha hoga but phir wo bahir aia or main upne interview ka wait ker raha tha mojhe kahta hay "come with me " main chup ker k oskay sath chala gia .. main confused nahi tha mojhe interview day na bara acha lagta hay main hamainsha interview istarah dayta hon jay se upne doston se batain ker raha hon .. mojhe kahta hay .. "take Your seat plz" main baith gia mojhe kahta hay "show me ur application" maine nikal ker day di .. phir kahta hay i want to check ur police reput maine wo b deakha di phir kahta hay show me ur bank letter wo b deakha dia phir kahta hay i want to bank phone number n i want to check ur account yahan a ker main phus gia kyun k maray pass bank ka number nahi tha phir osi time maray mind main aik idea aia maine bola aray bhi mara mobile maray couzin k pass hay wo bahir khara howa hay or osmain bank ka number hay kahta hay ok go n bring it main chala gia bahir maray mobile main number ho tou main lay ker jaon na maine jaldi se bahawalpur phone kia or banka number lia or mannger se bat ki k asay asay ambsy se phone anay wala hay zara osko sambhal lay na wo kahta hay tou deakhta rah main kia kerta hon .. maine wo number la ker goray ko dia goray ne phone kia pata nahi kia kia pochta raha onse mojhe kahta hay wait plz out side . main bahir a gia ..
koch dair bad wo mojhe khud hi search ker raha tha lerkon se poch raha tha wo dari wala lerka kahan hay .. main alidha aik corner main upne couzin k sath khush gapiyun main mashgool tha... jab osne mojhe deakha tou kahta hay plz come with me .. main chala gia . wahan ker baitha tou osne mara bank letter maray samne rakh dia kahta hay what is this ismain aik mistake thee jis main cyprus k spell galat thay .. mojhe kahta hay .. what is this cyprus k spell thay cypress main interview main b nahi tala maine bola sir may b it is female of cyprus kahta hay what maine bola sir just joking it is spell mistake phir kahta hay any way now u can go plz give me ur pasport main ne pasporst dia or bahir a gia mojhe pata chal choka tha k mara viza ub pakka hay .. kyun k osne mojhe khud hi bol dia tha k dont worry u sucess ... per mojhe aik lerkay per bara afsos howa beachara wo b interview day raha tha maray pass hi .. osay gora pochta hay where u heared about this college.. tou wo lerka kahta hay my father is doing job in lever brother.. gora kia poch raha or wo jawab kia day raha hay beachara osko osne refuse ker dia maray samne .... .............................jari hay..............
|
|
|
|
 |
|
assassin
|
Post subject: Posted: Sat Oct 15, 2005 9:00 pm |
Joined: Wed Oct 12, 2005 6:19 am Posts: 426 Location: London/Karachi
|
agay kab aye ga?? 
_________________ haath mera aey meri parchai tu hi thaam lay ...
|
|
|
|
 |
|
pakprince
|
Post subject: Posted: Tue Jan 03, 2006 3:47 pm |
Joined: Fri Mar 25, 2005 3:37 am Posts: 65
|
|
brother likhna bohet bara kam hay main thak gia hon likh likh ker ub kia keron :( maray se likha hi nahi jata etna hi kafi hay agay kia sonogay mari apbiti :S
|
|
|
|
 |
|
|